
Mujh ko kahan gumaan guzarta k main bhi hon
Dekha tumhen to main ny yeh jana k main bhi hon
Mere bhi bakhat me hai andehra k main bhi hon
Samjhy na raat khod ko akela k main bhi hon
Ghar to baha k ly gya khaashaak ki tarah
Darya na chor mujh ko akela k main bhi hon
Aey kash chekhta usey ata to main nazar
Us sahib-e-nazar ny na dekha k main bhi hon
Main apni dhun me kitni bulandi py aa gya
Koi nahi hai dekhney wala k main bhi hon
No comments:
Post a Comment