Na ghar k log salamat, na ghar salamat hain
yeh or baat keh dewar-o-dar salamat hain
Na chaddren he salamat rhe , Na dastarren
jean to kese jean , jin k sar salamat hain
Zamen key chand sitaron ko bhok chaat gai
falak hai shad keh shamas-o-qamar salamat hain
Musafiran-e-raah shoq sogwar na hon
keh rasty me abi kuch shajar salamat hain
Chaman me jashan-e-baharan ka ehtimam kro
Keh ik aseer parindey k par salamat hain
Yeh dil k ghao jo bharty nahi hen marham se
to janiey keh abi chara-gar salamat hain
Guzar gaey hen gham-e-dil k roz-o-shab Ajiz
gham-e-hayat k sham-o-sahar salamat hen

No comments:
Post a Comment