Saturday, January 30, 2016
ghazal
Honto pe muhabat k fasanay nahi aaty
sahil pe samandar k khazany nahi aaty
Palken bhi chamak uthti hen soty me hamari
ankhon ko abhi khawb chupanay nahi aaty
Dil ujari hui aik saraey ki trah hai
ab log yahan raat jaganay nahi aaty
Yaro na'ey mosam ne ye ahsan kiey hen
ab yad mujhy dard puranay nahi aaty
Is Sehar k badal bhi teri zulfon ki trah hain
yeh aag lagaty hen , bujhanay nahi aaty
Ahbab bhi gairon ki ada seekh gaey hain
aaty hen magar dil ko dukhanay nahi aaty
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment