
Abhi is taraf na nigah kr , Main ghazal ki palken sanwar lon
Mera lafaz lafaz ho aaiyna , tujhy aaiyney me utaar lon
Main tamam din ka thaka hua, tu tamam shab ka jaga hua
zara tehar ja essi morr per , tery sath shaam guzaar lon
Agar asmaan ki numaishon me mujhe bhi az'zan qayyam ho
to main moutiyon ki dukaan se teri baliyan, tere haar lon
Kahen aur bant dey suhratein, Kahen aur bakhash dey izzatein
mere paas hai mera aaiyna , main kabhi na gard-o-gubar lon
Kai ajnabi teri raah me mere paas se youn guzar gaey
jinhein dekh kr yeh tarap hui , tera naam ly kr pukaar lon
No comments:
Post a Comment