
Main sab qadrien luta deti , woh aitbar krta to
Han main sab kuch ganwa deti, gar woh piar krta to
Uddasi mujhe us ki qatt'an ganwara na thi
Main ho jati ghayal , woh waar krta to
Main chun chun phool barsati us par
per woh mere naam koi bahar krta to
Anaa py chot sehna dushwar to hy lakin
main har jati gar woh takrar krta to
No comments:
Post a Comment