
A Nice Ghazal by "Hafeez Hoshiyar-Puri"
Woh aa k samney jis waqat muskuraty hain
hum unki saari jafaa'on ko bhool jaty hain
Jafa py unki waafa ka gumaan guzarta hai
kuch is tarh woh mery dil ko yad aaty hain
Jafa-e-Taana-e-Ageyaar yad rehti hai
Gham-e-Firaq k sadmay to bhool jaty hain
Elahi khair ho yeh aaj daikhta kia hon
woh dekh dekh k q mujhko muskuraty hain
Dil-e-Hazeen ko main apny faraib dy lon ga
koi yeh jhoot hi keh dy mujhe Woh aaty hain
Hum apny bhoolney walon ko chahtey hain "Hafeez"
Woh apny chahney walon ko bhool jaty hain.
No comments:
Post a Comment