
Badal gai hai yeh zindaagi ,
ab sabhi nazaarey badal gaey hain
Kahen py moujein badal gai hain ,
Kahen kinarey badal gaey hain
Badal gya hai ab uska lehja ,
Ab uski ankhein badal gai hain
Woh chand chehra hai ab b waisa,
Mere sitarey badal gaey hain
Mila hun tum se to youn laga hai ,
Keh jaise dono he ajnabi hon
Kabhi jo mujhko azeez-e-jaan thy ,
Woh tour sary badal gaey hain
Kahen py badla hai kehney wala ,
Kahen py Saa'maey badal gaey hain
Iss liey bhi main sar jhuka k,
Tumhari nagri se chal para hon
Tha naaz jin par kabhi mujhe bhi
Woh sab sahaaray badal gaey hain
No comments:
Post a Comment