
Abhi sooraj nahi dooba , zara c sham hony do...
main khod he lout jaun ga mujhe nakaam hony do
Mujhe bad-naam krny k bahaaney dhondhty ho Q?
main khod ho jaun ga bad-naam phly nam hony do
Abhi mujh ko nahi krna hy Aitraaf-e-Shikasht
main sb taslem kr lon ga ye charcha aam hony do
Meri hasti nahi anmol phir bhi bik nahi sakta
wafaein baich lena per zara nelaam hony do
Naey aaghaz me hi hosla q torr baithy ho
tum sb kuch jeet jao gy zara anjaam hony do
No comments:
Post a Comment